stock market main agar aap trading karte ho yaa karna chahte ho to chart patterns samajhnaa bohot imp hai.
dekho, agar trading mein paisa banana hai toh sirf "buy low, sell high" wali baat kaam nahi aati. Market ka mood samajhna padta hai -- aur us mood ke hisaab se aapka profit hoga.
main khud jab naya tha, toh ye patterns bas design lagte the. par jab inhe samjha, tab pata chala ki market kya signal de raha hai.
chalo, kuch solid patterns dekhte hain jo har beginner ko aane chahiye:
1. head and shoulder - trend ka the end
jab chart pe 3 teppe banta hai - ek bada (head) aur dono side chhote ( shoulders), toh samajh jao trend khatam hone wala hai.
| market upar gaya tha, par ab neeche
| aane wala hai - sell ka mauka!
2. inverse head and shoulders - comeback ka signal
is baar pattern ulta hai - 3 dips, beech ka deep hota hai.
ye jab bana toh samajh lo buyers wapas aa rahe hain. upar ki side breakout ka chance high hota hai.
Comments