Trading start kaise kare - beginner guide in 2025 by samrat

 Aaj duniyaa kaafi jyada aage  badh gai hai  or iss digital zamaane mein lod financial freedom or passive income ke liye naye raaste khoj rahe hai.  Or trading  ek aaysaa option jaha sahi knowledge or strategy  se ghar baithe paise kama sakte ho lekin shuruaat karne se pahle kuchh aayse basic chije samajhnaa jaruri hai. Or haan main samrat aaj aapko iss blog ke jariye aapko trading start kaise karnaa hai kin chijo kaa dhyaan  rakhnaa hai or beginners shuruat ke liye kya steps follow karein. 


Step 1 : trading ke types  

Trading ki shuruat karne se pahle  ye samajhnaa jaruri hai ki trading ki kitni types hoti hain.

• intraday trading : jisme ham ek hi din ke aandar share kharidte or bechte hai.

swing trading : isme stocks ko kuchh dino tak hold kiya jata hai.

• position trading : isme long term ke liye invest kiya jata hai.

• options aur futures trading : yejo trading type hai ye thoda advance level ki hoti hai  or issmain high risk bhi hota hai.

Meraa suggetion ye rahegaa ki aap shuruat main intraday yaa position trading se start Karen  ye safe manaa jata hai.

Step 2: basic knowledge aur research 

Trading koi luck ya gumbling nahi hai. iss main bohot saari knowledge or market ki samajh or analysis hoti hai . 

Aab kuchh basic concepts seekh lete hai. 

• stock market kaise kaam kartaa hai?

• chart kaise padhe?

• Technical aur fundamental analysis kya hotaa hai?

• Risk management kya hai?

Aap Youtube, online courses (like zerodha varsity), aur blogs ke through easily ye sab seekh sakte hai.


Step 3: demat account open Karen 

Trading karne ke liye yaa stock market main invest karne ke liye aapke pass ek demat account honaa chahiye. Aaj kal aap online bhi khol sakte hai jaise.

• Zerodha 

• Upstox

• Angleone.   Etc. 
Documents jaise PAN card, Aadhar card aur bank details lagenge account open karne ke liye? 


Step 4: practice with paper trading 

 Shuruaat main aap binaa real money ke lagaye aap paper trading kar sakte ho jisse aap market ko samajhne ke saath-saath aapni strategies test kar sakte ho real market main. 



Step 5:  Smaal investment se start karo 

 Ye jo step hai  ye bohot  important hai or main isse Highly importence dunga or vo step hai.   Real trading mai. Entry lete waqt hamesaa chhoti amount se start karo jisse aapkaa confidence aur knowledge badhegaa,  fir aap baad main investment badhaa sakte ho. Risk management kaa dhyaan rakho - ek hi stock main aapnaa saaraa kaa saaraa paisaa kabhi mat lagaanaa. 


Step 6: Emotion ko Control karnaa seekho 

 Trading mein sabse badi challenging baat kya hai pata hai aapko vo hai aapne trade ke dauraan aapne Emotions ko control karnaa  
Emotion - greed aur fear. kab kharidnaa hai or kab bechnaa hai, iskaa decision logical hona chahiye, Emosnal nahi.


Conclusion :  

Trading ek skill hai jo time aur practice rakho, sahi se seekho aur disciplines se follow karo, to aap successful trader ban sakte ho. Hamesha yaad rakho - pahle seekho. Fir  kamanaa 

Comments